Translation of L K Advani's favorite poem
By Narayan-Chandra Rauf
Bichad kar badalon se giraa khawab koyi
dekh raha thaa usme naaye baab koyi
Chale jaa raha thaa khudaa thaa sang sang
chalte they paa mere usi ke sang sang
Bichad ke khizaa se giraa phir khwaab koyi
kar raha thaa hisaab is baar kharaab koyi
Chaar ke badle kyon hai do bus paa ke nisha
Ched rahe they khatte saare mujhe ye guma
Ye kyon hua kaise hua pooch raha thaa khuda se
haasil hua jawab phir usi khuda se
Ye do hai, na balki chaar
Gaur se sunn yaar
Mushkilo mein jo tu ghiraa thaa
kaandho pe le tujhe phira thaa
No comments:
Post a Comment