Sunday, 9 August 2015

गुमशुदा चाँद - The Lost Moon


I humbly request Grammy winner Ricky Kej to compose music for:

शायर: बी डी नारायंकर

वो शोखिया वो बाखपन नज़र नहीं आता
खूबी किसी में यह सब नज़र नहीं आता

चुरा कर दिल तुम चली गयी दूर कहाँ
लौटा दो खजाना जो अब नज़र नहीं आता

ले चलो दूर गमों के परे चाँद सितारों में
अब जीने के लायक ठिकाना नज़र नहीं आता

यादों की खुशबू तेरी घुलती जा रही हैं फ़ज़ा में
सब कुछ हैं मगर होश कहीं नज़र नहीं आता

वो चाँद वो सितारे आते हैं नज़र सब
एक चाँद अपना बस नज़र नहीं आता

Penned By B D Narayankar

Woh shokhiya woh baakhpan nazar nahin aata
khubiyan kisi mein yeh sab nazar nahin aata

Chura kar dil tum chali gayi door kahan
lauta do khajana jo ab nazar nahin aata

Le chalo door gamon ke pare chaand sitaaron mein
ab jeene ke laayak thikana nazar nahin aata

Yaadon ki khusboo teri ghulti jaa rahi hain faza mein
sab kuch hain magar hosh kahin nazar nahin aata

Woh chaand woh sitaare aate nazar hain sab
ek chaand apnaa bus kahi nazar nahin aata

No comments:

Post a Comment