Monday, 26 January 2015

February Callings: Nannhi Pari - The Teeny Angel


Have made humble request to AR Rahman to compose music on it through Twitter

Penned By B D Narayankar

Abb waqt aa chukaa muqtalif tutlaate huye bolon mein aahat sunneki
Loriyon ki boliyon se kabhi labb se usey (newborn) chummney ki

Lipti liptaayi huyi resham ke dhagon mein padi hogi kali sani si 
Ehsaas usey (the most dear one) nahin hogaa sarhaane bachchpan padi ho chani si
Abb waqt aa chukaa muqtalif tutlaate huye bolon mein aahat sunneki
Loriyon ki boliyon se kabhi labb se usey chummney ki

Paalna khol ke jab utaaregi bisstar par usey
Mamtaa bhari nigahon se niharegi usey
Abb waqt aa chukaa muqtalif tutlaate huye bolon mein aahat sunneki
Loriyon ki boliyon se kabhi labb se usey chummney ki


Muskuraahat chadhti utarti hogi uss kali pe musalsal
Bahon se utarti toh kabhi chchadti hogi musalsal
'Zindagi dene walon' ka khitaab sey mehroom hogi woh (The most dear one) musalsal
Abb waqt aa chukaa muqtalif tutlaate huye bolon mein aahat sunneki
Loriyon ki boliyon se kabhi labb se usey (newborn) chummney ki ...

Iss Farvari aayegi ghar ek nanhi pari

NOTE - THIS POEM IS SUBJECTED FOR CHANGE, IF NEEDS BE

No comments:

Post a Comment